aaj fir se kavita likhne ko mann aaya h
aaj fir se koi is mann ko bhaya h
koi is chanchal kshitij par fir se chaya h
aaj fir se kavita likhne ko mann aaya h
fir se suraj ki lalima ne mann ko damkaya h
fir se chander ki sheetal chandni ka dhyan aaya h
aaj fir se kavita likhne ko mann aaya h
aaj fir se oos ki bundon ne phulon ko chamkaya h
fir se chote chote nange paanvon ne ghas ko sehlaya h
aaj fir se kavita likhne ko mann aaya h
fir se kisi anaath par maa ki mamta ka saaya aaya h
jaise kisi sookhi jameen ke upar koi kala badal ghir aaya h
aaj fir se kavita likhne ko mann aaya h
fir se koi bhoola bhatka ghar aaya h
fir se kisi ne god mein lita mera sir sehlaya h
aaj fir se kavita likhne ko mann aaya h
aaj fir se koi panchi pinjra tod bahar aaya h
aaj fir se kavita likhne ko mann aaya h
JITENDER KUMAR 'GAGAN'
No comments:
Post a Comment