ek din fir tha khali period
or NIT market mein baithe the hum char idiot
chal rahi thi wahi roj ki katha
kisi ke pointer kisi ke toote dil ki vyatha
tabhi jaaga ek ke mann mein swadesh-prem
BOLA-
hum pe h dhikkar
kabhi socha h yaar
desh ka kya hoga
samaaj ka kya hoga
tabhi mere sath wala bola-
abe wo dekh tere wali ke
sath kon ghoom raha h
pehle ye bata
ab tera kya hoga
tabhi ek dost aksmaat hi muda or bola-
"yaar TOTA"
maine kaha-
yaar aise tote to hamare yahan
har market mein paye jate hain
par sab apne mammi papa
ya bhai ke sath aate hain
sab aate hain
sab jaate hain
par inme se kuch
dard-e-dil de jaate hain
dusra bola-
chod yaar
tu to senti ho gaya
emotion mein behkar
chintu candy ho gaya
ek bola-
chod na yaar
samose khate hain
varna wo mess wale to roj
rajma hi khilate hain
waise aaj subah uthne mein
thoda late ho gaya
baal banane ke chakkar mein
miss mera omelate ho gaya
kyonki sbase pehle
chhabra sir ki class thi
or mujhe usme ek
adad seat ki talash thi
waise bhi aaj-kal attendence ka rule h
students ki gardan par ek trishul h
maine kaha-
chal na yaar
or kitne samose khayega
tere khane ke chakkar mein
sabki agli clas miss karvayega
waise bhi agli clas nayi wali madam ki h
wo nahi lagayi to pura din kharab jayega
tere chakkar mein
hum sabka beda garak ho jayega
to chal pade hum class ki or
bahut door dikhne wale us chhor
par chalte chalte sabne dil mein ek aas or basa li
kisi na kisi tarah ho jaye ye period bhi khali
-JITENDER KUMAR 'GAGAN'
No comments:
Post a Comment